Salman Khan is the Bhaijaan of Bollywood, and recently, he has established himself as an action film actor. Indian action Movies are incomplete without one-liners and Punchlines.
So, We are sharing some of the great dialogues of Salman Khan in Hindi Movies, this includes dialogs from his first films to recently released films.
Salman Khan is the superstar of Bollywood and famous for his dialogue delivery his punchlines and one-liners are awesome, we are sharing Dialogues of Salman Khan.
Dialogues of Salman Khan
Salman Khan Dialogues in Hum Aapke hai Kaun
Jab hum aapse kuch poochna chahe toh aap hum mein rokti hai…..
aur jab chup ho jaye toh tokti hai…
Also Read: Hit Dialogues of Sunny Deol
Log kehte hai khoobsurat ladkiyaan jab jhooth bolti hai
toh aur bhi khoobsurat lagti hai…
Salman Khan Dialogues in Maine Pyar Kiya
Dosti ka ek oosul hai madam
no sorry, no thank you…
Udaas hona, yun akele mein rona
is injurious to health, sehat ke liye hanikarak hota hai….
Aaj kal darwaaze pe knock karke aane ka zamaana nahin raha…
Salman Khan Dialogues in Salaam E Ishq
Har cheez karo limit ke andar
lekin pyar limit ke bahut baahar
Also Read : All time hit Dialogues of Shahrukh Khan
Salman Khan Dialogues in Garv
Main apna antim sanskar kar chuka hoon…
Ayanda mardo ki baraat lootne
hijado ki toli kabhi mat bhejna…
Is umar mein jab haddiyan tootti hai toh badi mushkil se judti hai’….
Humne uski jamaad aur uska naam ration card se kaatna shuru kar diya hai..
Kyunki bhagwan ek hi waqt har jagah nahi ho sakte na, isliye unhone maa ko banaya hai…
Main maut ko takiya, aur kafan ko chaadar banakar audhta hoon Jai Hind…
Is napunsak samaaj mein antim vijay
sada asatya, adharm aur anyaay ki hi hoti hai…
Izzat se baat, izzatdaar logo se ki jaati hai, bhadwon se nahin…
Tum jaise gundo ke liye police se bada gunda is duniya mein doosra koi nahi…
Tujhe kaandha dene ke liye ek aadmi bhi naseeb nahin hoga…
Tere liye no chargesheet sirf D-final, yani death final..
Salman Khan Dialogues in Mujhse Shaadi Karogi
Badtameez, chaddar ki kameez, lohe ka pajama, bandar tera mama,
arre billi teri mausi, kutta tera yaar, aam ka achaar … aaja mere yaar!
Agar tum meri zindagi mein nahi hoti, toh main kya hota? …
bina jeb ki pant hota, bina sole ka juta hota, bina dil ke shareer hota…
Salman Khan Dialogues in Hum Dil De Chuke Sanam
Agar tum mujhe yun hi dekhti rahi
to tumhe mujhse pyar ho jayega.
Salman Khan Dialogues in Wanted
Ek bar joh maine commitment kar di
uske baad toh main khud ki bhi nahi sunta…..
Also Read: Evergreen Famous Dialogues of Amitabh Bachchan
Tu ladki ke peeche bhagega, ladki paise ke peeche bhagegi
tu paise ke peeche bhagega, ladki tere peeche bhagegi
Tujhe har goli ka hisaab dena parta hai
main jitni bhi chalaon
mujhe koi hisaab nahin dena parta…
Jis school mein tune ye sab seekha hai na
uska headmaster aaj bhi mujhse tuition leta hai
Sharab aur khoon main apni marzi se peeta hoon, dabake
Main sirf money bhai ke liye kaam karta hoon
Joh police ki baat karta hai wahi police se darta hai
Suar hamesha group mein shikaar karte hai, aur sher akele
Beta ye gutkha khane ka itna shauk hai toh ek dost aur bana le
kandha dene ke kaam aayega..
Bahut ghoor raha hai
kya behen ki shaadi karayega muhjse?
Main aurto aur bacho ko nahi marta
Apne apne funde hote hai
Mujhe khud ko bhi nahin pata
ki kitna kamina hoon main..
Mujhe aansooyon se sakt allergy hai…
Salman Khan Dialogues in Tere Naam
Main request nahi karta
ek hi baar bolta hoon
aur full and final ho jaata hai…
Sari duniya pyar mein padi hui hai
sirf ek mujhe hi haq nahi hai?
ki main kisi se pyar kar sakun, koi mujhse pyar kar sake … kyun?
Salman Khan Dialogues in Ready
Zindagi mein teen cheez kabhi underestimate mat karna I, Me and Myself!
Ek baar kaam karna shuru kardoon, no income no tax, (kya) no income tax
Agar aap chuhe hai to ye billi hai
agar aap billi hai to ye kutte hai
agar aap kutte hai to ye tendua hai
agar aap tendua hai to ye sher hai
agar aap sher hai to ye haathi hai
agar haathi hai to ye dinasaur hai dinasaur
Main modern jamane ka kutta hoon
wooow wooow wooow
Chaudary plus Kapoor equals to Chapoors….
Salman Khan Dialogues in Bodyguard
Meri ek khaasiat hai ki main maarta kam hoon
aur ghaseet-ta zyada hoon
Mujhpar ek ehsaan karna
ki mujhpar koi ehsaan na karna
Main ek bodyguard hoon …
meri duty ke ilawa na mujhe kuch dikhai deta hai, na mujhe kuch sunai deta hai
Salman Khan Dialogues in Ek tha Tiger
Saath chalna hoga … zinda ya murda
Salman Khan Dialogues in Veergati
Gundon se nipatne ke liye fauj ki nahi,
himmat ki zaroorat padti hai…
Tann pe jitne kapde hai
ussi ko main apna kafan manke chalta hoon…
Salman Khan Dialogues in Saajan
Kabhi kabhi dil ke paimane mein khushi itni badh jati hai
ki khud ba khud aasun ke cheetey bankar jhalak jati hai
Salman Khan Dialogues in Karan Arjun
Daayan haath jeb mein rakh lo seth
varna zindagi bhar aapko baayen haath se khana, khana padega
Salman Khan Dialogues in Ajab Prem ki Ghazab Kahani
Yeh thopade ka design toh pehli baar dekh raha hoon
Abhe ghar toh kya, tu kabhi raaste mein bhi dikhayi diya na …
toh chehre ka design badal doongaa
Salman Khan Dialogues in Son of Sardaar
A for Apple teh H for Hen
Pathan is saying ki there and then
kuch bhi le lena lekin Pathan ke yaar se panga na lena…
Pathan aur Sardar ki jodi … baki sab lil lil ghodi
Dialogues of Dabangg
Gulab jamun se yaad aaya …
Tiwari ji aapka hernia ka operation hone waala tha, kya hua?
Police waale ko tokne ka anjaam patha hai kya? ikkis saal jail aur tukkai alag se
aur ussi police waale ne agar tumhe tokka,
toh promotion alag se aur bahduri ka medal bhi
Hamara naam hamari personality ko shoba deta hai
Chulbul Pandey urf Robin hood pandey
Abhi tak sabko nehlaya hai ab sabko dhounga
There izz always a first time, always a next time
Chedi Singh Hum tum mein itne ched karenge
ki confuse ho jaoge ki saans kahan se le aur paadein kahan se…
Haramzaade se yaad aaya Chaube ji apke Adarniye pitaji aaj kal kaise hain?
Kamini se yaad aaya Tiwari ji bhabhi ji kaisi hain?
Hum yahan ke Robinhood hain … Robinhood Pandey
Swagat nahi karoge aap hamara?
Maa ki jhooti kasam nahin khate … jhootiya saala
Also Read : Salman Khan Dialogues in Kick
Say Something!
If you think any of your favorite Salman Khan Best Dialogues are missing, do write them in the comments.
Source: Filmy Keeday